Is zamaane, ne sikhaaya ki mohobbat gham hi deti h
Kai sitamon se tadpakar jaan aashiq ki leti h,
Mohobbat aisi hoti h, sochkar hum darne lage,
Aur tabhi se bachne ki isse koshishein karne lage.
Par shaayad bhagya ko kuch aur manzoor,
Chhaya hum par bhi ab ishq ka suroor tha.
Mohobbat ko ab samajhna Jo shuru kia,
Toh dil mera thahake lagaakar has dia,
Ki aaj tak is adbhut ahsaas se m anjaana tha
Aur kitna badnaseeb yeh bechara zamaana tha,
Jo is paak ehsaas ko jaan na paaya,
Aur bematlab ka yeh bawaal machaaya,
Arreh len den toh sauda vyaapaar hota h,
Aur jahaan sauda aa jaaye woh fir kahaan pyaar hota h,
Asal mohobbat toh woh hai ae yaar mere,
Jahaan nhi chalte yeh Len den ke phere,
Mohobbat naam h na khone kaa naa paane kaa,
Yeh toh bas naam h do se ek ho jaane ka...
0 comments:
Post a Comment