Wednesday, 20 August 2014

Ek haqeeqat

22:03 Posted by Rajat No comments

Sunaa tha ki jannat hai ye duniya,
Par ab shaayad ajeeb ho gayi hai.
Kya shuru se hi aisi hi thi yeh?
Ya ab alag iski taseer ho gayi hai?
Insaan hi insaan ko maarne par amaada hai,
Jaan ka yahan mol kam, paise ka zyaada hai.

Kyun hai yeh aisa, theek se toh pataa nahi,
Par lagtaa hai ki aaj maanav bhul gaya yeh ki;
Saara sansaar hi asal mein ek parivaar hai.
Use bas apne ek kutumb se pyaar hai.

Bas kehne ko nahi,
Vigyaan ka pramaan hai.
Vasudhaiva kutumbakam hi saccha gyaan hai.
Hum sabhi santaanein hain us pehle maanav ki,
Srishti ke aarambh mein hui jiski rachnaa thi,
Shaastra "manu" aur bible "adam" ke naam se gaate hain,
Hum sab unhi ke vansh se toh aate hain !
Jis din yeh samajh jaaenge hum,
Duniya se dukh ho jaaega khatam.
Kyunki kisi ka bhi dukh sabko dukhi karega,
Har koi apne parivaar ka jo lagega.

0 comments:

Post a Comment