Chahta main bhi bahut tha ki koi mujhe padhaaye,
Padh likhkar kuch ban ne ke sapne bhi the sajaaye,
Par is sab me ghar ke haalaat aadhe aaaye
Sabko laga ki waqt aa gaya ki ab yeh bhi kuch kamaaye.
Jab tum sab school college jaate the
Hum yahaan par tumhaare ghar banaate the
Haan sach h ki maine nahi ki padhaai
Par fir bhi kabhi Rone ki naubat nahi aayi,
Tajurbe ne hisaab wagerah sikhaa dia itna,
Ki kabhi bhi humein na pada jhukna,
Tajurba woh guru h , Jo sab sikhaata h
Aur ant me har jagah yahi kaam aata h!
Tumhaari gadhna toh kuch kam kuch zyaada hai
Usse sateek toh shaayad apna andaaza h,
Jitni der me tumhaari chalti h calculation
Hum log kar dete utne m hi implementation
Tumhaare formulae to fir bhi assumption rakhte h
Par hum in sab ko saath lekar chalte h.
Main yeh nahi kehta ki padhaai bekaar h,
Bas chahta hu badalna Jo yeh vyavahaar h
Tumhara gyaan kitaabi, toh maine tajurbe se seekha h
Gyaan ko paane ka mera yahi tareeka h.
Bina kisi thos bhaasha ke main dincharya chalaata hu
Kuch nahi jaanta isliye shaayad har jagah dhal jaata hu
Aaj mujhe gham nahi ki main kitaabein nahi padha.
Kyunki bina kitaabi gyaan ke jab paristhitiyon se main lada
Toh bahut kuch aisa seekha Jo kitaab mein nahi milta
Padhta toh shaayad yeh anubhav nahi milta!!
0 comments:
Post a Comment